Mene bechi kitno ki ye amaanat
Kar ke khayanat
Karte shikaayatain mujhse
Ye karte shikayatein mujhse
Hai guzaarish modbaana
Phirse batain na dohraana
Ke me sanki hun purana
Doray partay hain mahaana
Insaan honga theek par shetaan se me raabtay me
Apne hi raaz wo sunaake mujhe waastay de
Kehta me bhi tum sa tha karlo yaqeen mera
Us hi me wo maanta tha jo ke hai yahan deen tera
Cheekh para ghusse me aaj me shetaan pe
Sun Azazeel ab tu baat sun dhiyaan se
Aik bhai mera tere raaste pe chal para
Bhara wo anaa se har insaan se hi lar para
Rab ne di izzat par wo ghamand hi kamaa betha
Mitti ka insaan khud ko Khuda banaa betha
Larta ra un saaron se jo usse nahi jaante
Wo jaanta hi nahi ke wo laga tere kaam pe
Wo maanta hi nahi ke zawaal hi anjaam hai
Tabhi to tumse nafrat bhulaate ho tum raaste
Dikhaate ho jese ke mashoori amar
Jinke seeno me anaa tera wahin pe ghar
Uska toota wa ghar to wo dunya pe ghussa
Tabhi itni asaani se bhatka wo rasta
Behkaaya bhi aesa ke wo sochay wo theek hai
Sikhaata raha auron ko tere saleeqay
Nafrat hai tumse
Mene bechi kitno ki ye amaanat
Kar ke khayanat
Karte shikaayatain mujhse
Ye karte shikaayatain
Mera aik aur bhai jo ke banta tha sufi
Ye dunya hai faani aur aurtain hain toffee
Ke parda na ho in pe par jaate keeray
Phir apne hi ghar ki wo izzatain cheenay
Me maan hi nai sakta ke akela tha wo shaamil
Uske kaan peeche betha tha jo tum hi ho wo qaahir?
Jo tu khud na kabhi kar saka us se karwa diya
Allah ka banda munaafiq banaa diya
Kartay ho daaway tumhe Allah se pyaar?
Uski banday ki beti ka to tu hi gunehgaar
Ke wo ab bhi ye sochay usne ki nahi koi ghalti
Aur aeson se hi to teri sultanat chalti
Kartain hain ghalti pe ghalti pe ghalti
Aur apni ghalaazat phir auron pe mal di
Aur chupte hain cheekhtay hein boltay hain jhoot
Aur chupaate rehte baaton me apne kartoot
Kyunke maan lain wo agar to ye teri bhi tou haar
Tujhe hoti haina khushi jab bhi marte kirdaar?
Mujhe nafrat hai tumse
Mene bechi kitno ki ye amaanat
Kar ke khayanat
Karte shikaayatain mujhse
Ye karte shikaayatain
Mera teesra bhai jo ke sachi me tha seedha
Dard nahi do insaan ko bas yehi tha aqeeda
Us kambakht ki bas aik hi kamzori thi
Akelepan ne uski niyattain nichori theen
Jinko bhi wo chahta usse mili na wo chaahat
To phir aurton ke jismon me dhoodnta tha raahat
Aur tum hi to khabees uske kaano ke peeche
Tu rab ke qareeb ko to zor se kheenche
Shart hai ye teri uske banday gumraah kar
Wo tere hi haathon betha zindagi tabaah kar
Phir tuney milaaya tha na usko nashay se?
Ke milti hai raahat rahoge mazay me
To dooba suroor me wo dunya se dur tha
Haath me hathkari teri shart se majboor tha
Gawaa betha pesay wo gawaa betha rishtay
Gawaa diya sab kuch is nadaan behiss ne
Ke hiss pe to uski tu kabse tha raaghib
Nikalna jab chahay tu band kar darwaazay
Wo tang hoke aakhir phir phaansi latak gaya
Allah ke pyaaray ko ye tumne kya kiya
Nafrat hai tum se
Mujhe nafrat hai tum se