menu-iconlogo
logo

Taaray

logo
가사
Ham ja rahe

Ye aasron ke dar pe ham kyun?

Ham taaray

Ye raaton me hi kyun ham chamkay?

Shikway, mujhe kitne hi sab se

Ye jumlay rakhun dur me rab se

Ke sun le na kahin wo dunya ki haalat

Mayoos khudai ki tu karle kafaalat

Jahaalat ka aalam hain

Tangay we saadiq aur hans rahe munaafiq

Me jaun kahan pe?

Mujhme bachi koi sharam o hayaa nai

Bhai dafnaa ke ham shoot pe jaa rahe

Maazi ki laash pe ham juway lagaa rahe

Ham ghaazi aur qaazi ko phansi charha rahe

Me apne tabood ke pese bacha ra

Me mic pe khaaliq ko shikway suna raha

Me mitti ke dheron pe qatbay laga raha

Me gheron ki laashon ko apna bata raha

Me guzray we kal ke gunaah jhutla raha

Me haq ki sadaaon pe jhoomay hi ja raha

Me kehta

Jaane do na

Mujhe aake khoklon ki misaalain do na

Mujhe chahiye nai tera ye pesa sona

Is ghoron ki dor me nahi shaamil hona

Mujhe chor do sakoon me ke sar pe fatoor

Mere ghar se me door mera dil majboor

Mere aas paas bhagta ye sara zamaana

Mujhe jaltay we koilon pe chaltay jaana

Mere apne gunaahon ka me bhar kafaara

Me zameen ke seene me sonay jaa raha

Mujhe dunya me chalne ka dhang nai aata

Mujhe apna hi dil be rang sataata

Mujhe bolte hain jese mujhe fun nai aata

Me to jaibon me apna kaffan phirata

Raakh sona

Mera raaz khol na

Maazi tatolna

Mere aeyb bol na

Ham ja rahe

Ye aasron ke dar pe ham kyun?

Ham taaray

Ye raaton me hi kyun ham chamkay?

Murday jo garhay hue tum rakh do baahir

Nahi bola wohi me jo tumhe dikhay bazaahir

Ye gol daira

Is se bahir aa

Harf e ghaib ka kar mushayara

Apne hi chehray ke tu cheer makhotay

Ham toofaan ke jese ab tu khol jharoke

Saari kainaat hame deti dhokay

Par apna qasoor ke ham dete moqay

Mujhe apne roke mujhe rokay gher

Me to chal diya baadal pe rakh ke pair

Chaiye nai rehbar me raah pe gaamzan

Mere khwaab mujhe loot'te yahan banke raahzan

Me to khaak ka putla par dhool nahi chaat'ta

Me to jo bhi kamaata wo me sab me bant'ta

Dharkanain hain dheemi mujhe shor nahi chaiye

Mere zehen ki majlis me tashreef laaiy'ye

Baat kehdi, hunar-e-mehdi

Kitne yahan mere waadon ke qaidi

Rakhun is gumaan me ke aaunga bachaane

Par aaunga ya nahi ye to khud bhi pata nahi

Me dhongi faraibi me bechta umeed

Yahan jo bhi milenge wo dhan ke mureed

Ye to dil ke Yazeed

Yahan firkay mazeed

Jinki raahain hai seedh

Unke peeche raseed

Shoba nahi deta me shammay bhujaa dun

Me dhoka nai deta me maazi jalaa dun

Me yaadon me sab ki hi kar gya baseera

Ye dhaltay gaye sooraj ye qallam nahi thehra

Me bharam se kehra me yahin hun reh raha

Me raaton ka saathi

Me roshan sawaira

Ujri ye basti par ukhra na khema

Kal ke hi mun pe me pherdun khiraama

Ham ja rahe

Ye aasron ke dar pe ham kyun?

Ham taaray ye raaton me hi kyun ham chamkay?