menu-iconlogo
logo

Itna Na Mujh Se Tu

logo
가사
Itna na mujhase tu pyar badha

Ke mai ek badal aawara

Kaise kisi ka sahara banun

Ke mai khud beghar bechara

Is liye tujhase mei pyar karu

Ke tu ek badal aawara

Janam janam se hu sath tere

Ke naam mera jal ki dhara

Itna na mujhse tu pyar badha

Ke mai ek badal aawara

Janam janam se hu sath tere

Ke naam mera jal ki dhara

Mujhe ek jagah aaram nahi

Ruk jana mera kaam nahi

Mujhe ek jagah aaram nahi

Ruk jana mera kaam nahi

Mera sath kaha tak doogi tum

Mai desh videsh ka banjara

Itna na mujhse tu pyar badha

Ke mai ek badal aawara

Kaise kisi ka sahara banun

Ke mai khud beghar bechara

Is liye tujhse mai pyar karu

Ke tu ek badal aawara

Janam janam se hu sath tere

Ke naam mera jal ki dhara

O nil gagan ke divane

Tu pyar na mera pahachane

O nil gagan ke divane

Tu pyar na mera pahachane

Mai tab tak sath chalun tere

Jab tak na kahe tu mai hara

Is liye tujhse mai pyar karu

Ke tu ek badal avara

Janam janam se hu sath tere

Ke naam mera jal ki dhara

Itna na mujhse tu pyar badha

Ke mai ek badal aawara

Kaise kisi ka sahara banun

Ke mai khud beghar bechara

Kyu pyar me tu naadaan bane

Ek pagal ka armaan bane

Kyu pyar me tu naadaan bane

Ek pagal ka armaan bane

Ab laut ke jana mushkil hai

Maine chhod diya hai jag sara

Itna na mujhse tu pyar badha

Ke mai ek badal aawara

Janam janam se hu sath tere

Ke naam mera jal ki dhara

Itna na mujhase tu pyar badha

Ke mai ek badal aawara

Janam janam se hu sath tere

Ke naam mera jal ki dhara

Itna Na Mujh Se Tu - Talat Mehmood/Lata Mangeshkar - 가사 & 커버