Ye jo teri payalo ki chan chan hai
Aashiqo ke dil ki ye dhadhkan hai
Ye jo teri payalo ki chan chan hai
Aashiqo ke dil ki ye dhadhkan hai
Chan chan sune jaaye haye haye karein jaaye
Paayal hai teri ya uljhan hai
Ban ke deewana mera picha na kar
Ban ke deewana mera picha na kar
Teri meri yaari honi mushqil hai
Kabhi mujhe roke tu kabhi mujhe toke tu
Aashiq nahin mera dushman hai
Ye jo teri payalo ki chan chan hai
Aashiqo ke dil ki ye dhadhkan hai
Aashiqo ke dil ki ye dhadhkan hai
Zulf se lekar jhanjar tak tu jannat ka ik nazaara hai
Ho zulf se lekar jhanjar tak tu jannat ka ik nazaara hai
Lagta hai rab ne tujhko zami pe mere liye utaara hai
Khwaab itne suhane dekh na o diwane
Tujh pe fida ho jaaun main dil mera na maane
Yahi to samajh paaya hoon main
Yahi to samajh paaya hoon main
Aisi bhi kya teri meri anban hai
Chan chan sune jaaye haye haye karein jaaye
Paayal hai teri ya uljhan hai
Ban ke deewana mera picha na kar
Teri meri yaari honi mushqil hai
Teri meri yaari honi mushqil hai
De denge teri khatir jaan bhi sabhi yahi kahte hai
De denge teri khatir jaan bhi sabhi yahi kahte hai
Nazar sabhi ki aur kahin to kadam kahin rahte hai
Ho aisa nahin main aawara
Dil nahin mera banjaara
Is kadar bhi akad naa nasamajh bechaara
Isey samjhana mushqil hai
Isey samjhana mushqil hai
Der se manegi par mumkin hai
Chan chan sune jaaye haye haye karein jaaye
Paayal hai teri ya uljhan hai
Ye jo teri payalo ki chan chan hai
Ye jo teri payalo ki chan chan hai
Aashiqo ke dil ki ye dhadhkan hai..
Chan chan sune jaaye haye haye karein jaaye
Paayal hai teri ya uljhan hai
Ye jo teri payalo ki chan chan hai
Aashiqo ke dil ki ye dhadhkan hai
Aashiqo ke dil ki ye dhadhkan hai