menu-iconlogo
huatong
huatong
dwij-kulkarni-thank-dwij-cover-image

Thank Dwij

Dwij Kulkarnihuatong
rbmangabat10huatong
Lirik
Rakaman
Roke mujhe mera aham hai karta wo mana

Kyu jhukta sabke ke aage jab hai khud mein ek khuda

Dhundhne pe na mile, na sabka ek khuda

Jab smjha main ye baate, zindagi ka naya rukh dikha

Chalte Chalte waala Shahrukh phir raha hu Gumshuda

Saari baate sun raha

Aur sunke bhi main chup raha

Sapno ki maala bun raha

Saare aib hai gun kaha?

Hai kitni zyaada dhundh yaha

Kab toote aansuon ka baandh khud ko bhi khabar nahi

Aur kitna lamba intezaar ab hota hai sabar nahi

Karna safar hai duniya ka ab karna aur suffer nahi

Meri zindagi sawar gayi

Jabse lakshya pe nazar gyi

Lakshya paane ke liye ab main chodhu koi kasar nahi

Ab soch wo kidhar gayi

Afsos wo guzar gayi

Kalesh free nahi life

Free kalesh yaha anek hai

Happy Birthday to me, lagra sab mein bata cake hai

Chahiye nahi tha kuch bhi ye jo mujhko ho raha hai

Dekho sab tamasha kaise Dwij wo kho raha hai

Zindagi ka jua khele baitha hu yaha pe

Chaahu bas ki khel mein ye acche feke paase

Jeeb meri neem, tabhi kadhwi saari baatein

Mayanagri mein bhi ghoome hum maya ke maare

Mera jeevan ek khuli kitaab aur uss kitaab mein lag gyi aag

Na apne ghar ka main chiraag

Khitaab ye meri behen ke naam

Mera harr baar ek hi kaam ki kar du saara kaam tamaan

Baap ke naam se jaante sab nahi kar sakta main naam kharaab

Delusional hu itna mann mein paale 100 bharam hai

Na hai fikar koi fal ki, karne acche bas karam hai

Shareer se naram par dimaag se garam hai

Naam mera Dwij ye mera doosra janam hai

Roke mujhe mera aham hai karta wo mana

Kyu jhukta sabke ke aage jab hai khud mein ek khuda

Roke mujhe mera aham hai karta wo mana

Kyu jhukta sabke ke aage jab hai khud m ek kh-

Lebih Daripada Dwij Kulkarni

Lihat semualogo

Anda Mungkin Suka