menu-iconlogo
huatong
huatong
Lirik
Rakaman
Chupchap mai or bolte hain wo

Farishte hain 2 bethe kandhe pe jo

Na bilkul bhi banti hai dono ki dono hi

Hote na chup kehte meri suno bas

Ek kehta ye kala hai tohmat

Duja hai chahta kamana bas shauhrat

Pehla kehta sun imaan ko kho mat

Duje ki hasratein zina or daulat

Ek kehta tu sarfira shayar hai dhunta firta mohabbat kyu gairo mai

Dujha hai kehta ek jesa khuda basta sabme tho farak kyu chehro mai

Ek behna sang chahta hai lehro ke

Duja band betha hai khudme hi kaid hoke

Ek ko hai udna hawao mai

Duje ko niche hai rehna dafan hoke

Ek chahta bas sochun mai aajki

Duje ko parwah hai marne ke baad ki

Maut hai lazmi zindgi bewafa mashooka

Isse tu karna nhi ashiquie

Pehle ko pasand hai sadgi

Duja nashe mai talab hai sharab ki

Pehlе ko dil halka karne ko baatchit

Duja chupata sab rakhta hai raaz hi

Awazein awazein awazеin awazein awazein awazein

Ye khud ki hi khudse hain batein kya khud hi hum khudko bhula dein

Ya baton hi baton mai batein dabadein hum batein banake

Par dekhunga khudko mai kesr fir ankho se ankhein milake

Awazein awazein awazеin awazein awazein awazein

Ye khud ki hi khudse hain batein kya khud hi hum khudko bhula dein

Ya baton hi baton mai batein dabadein hum batein banake

Par dekhunga khudko mai kesr fir ankho se ankhein milake

Dooba hun karzo mai pehla hai kehta ki himmat na haar tu manzil ko dekh

Duja hai kehta ki tutega khwabon ka mahel na tikti hai paani mai ret

Ankhein bhari teri khali hai jeb

Kya bhardega ghar ka tu taali se pet

Par deta dilasa hai pehla ye kehke na fasna ye bas azmaish ka khel

Ek bola ki bhai tu dekh

Ye waqt nikalta dikhai na de

Or duja hai kehta ye waqt hai tera gulam

Ye teri kalai mei hai

Kabar andhero mai teri hoga na tera khudai se mel

Par pehla hai kehta na utna maza hai mukammal mai jitna judai mei hai

Ek chahta jawab sawalo ke

Ki kabtak rahega khayalo mai

Or duja hai kehta ye duniya hai pinjra khayalo mai rehna azaad hoke

Ek kehta ki kabtak hi gaaloge kabtak chupaloge khudko tum gaano mei

Duja hai kehta ki zikre khuda hoga jabtak azaano mai tabtak namazo mei

Awazein awazein awazеin awazein awazein awazein

Lebih Daripada FARHAN KHAN/Bhumi Maurya/Audiocrackerr

Lihat semualogo

Anda Mungkin Suka