Uss raat bhut sanata tha
Uss raat bhut khamoshi thi
Saya tha na koi sarghosi thi
Aahat thi na jumbish thi koi
Aankh der talak uss raat magar
Bas ek makan ki dusri manzil par
Ek roshan khidki aur ek chand falak par
Ek duje ko tiktiki bandhe takte rahe
Kuch aisi ehtihayat se nikla hai chand phir
Jaise andheri raat me khidki pe aao tum
Sitare chand ki kashti me raat laati hai
Seher me aane se pehlebik bhi jate hai
Bhut hi acha hai vyapar inn dino shab ka
Bas ek pani kiaawaz lapalpati hai
Ki ghaat chodd ke maazi tamama ja bhi chuke hai
Chalo na chand ki kashti me zeel paar kare