Kiya hai pyaar jise
Humne zindagi ki tarah
Kiya hai pyaar jise
Humne zindagi ki tarah
Woh ashna bhi mila humse
Ajnabi ki tarah
Kiya hai pyaar jise
Humne zindagi ki tarah
Kise khabar thi badheggi
Kuch aur tareki
Kise khabar thi badheggi
Kuch aur tareki
Chupega woh kisi badli mein
Chandni ki tarah
Woh ashna bhi mila humse
Ajnabi ki tarah
Kiya hai pyaar jise
Humne zindagi ki tarah
Badha ke pyaas meri
Usne haath chod diya
Badha ke pyaas meri
Usne haath chod diya
Woh kar raha tha
Muravvat bhi dillagi ki tarah
Woh ashna bhi mila humse
Ajnabi ki tarah
Kiya hai pyaar jise
Humne zindagi ki tarah
Sitam to yeh hai ki
Woh bhi na ban saka apna
Sitam to yeh hai ki
Woh bhi na ban saka apna
Kubul humne kiye jiske gum
Khushi ki tarah
Woh ashna bhi mila humse
Ajnabi ki tarah
Kiya hai pyaar jise
Humne zindagi ki tarah
Kabhi na socha na tha
Humne qateel uske liye
Kabhi na socha na tha
Humne qateel uske liye
Karega humpe sitam
Woh bhi har kisi ki tarah
Woh ashna bhi mila humse
Ajnabi ki tarah
Kiya hai pyaar jise
Humne zindagi ki tarah
Humne zindagi ki tarah
Humne zindagi ki tarah
Humne zindagi ki tarah