too yaheen hai, aankhon ke kone mein
jagane-sone mein, yaheen hai too
too yaheen hai, har pal rusaane
mujko manaane, yaheen hai too
ye doori hai dil ka vaham
sang mere hai too har dam, dam, dam
too yaheen hai, hone, naa hone mein
khud ko khone mein, yaheen hai too
hamein subah se iskaa intazaar hai
ki jalthee-jalthee shaam ho
ki poore din ke qisse hum bataayenge
tasalliyon se raat ko
juganun-juganun ban ke saath-saath jaagen
jaadoo-jaadoo, saba ye jaadui sa laage
timatimaa ke dekho hans raha vo taaraa
kya sunaa latifa usne phir hamaaraa?
jahaan milte hain raat aur din
vaheen chupake se mil lenge hum, hum, hum
too yaheen hai, aankhon ke kone mein
jagane-sone mein, yaheen hai too
too yaheen hai, hone, naa hone mein
khud ko khone mein, yaheen hai too
ye doori hai dil ka vaham
sang mere hai too har dam, dam, dam