Vande matram vande matram vande matram vande
Vande matram vande matram vande matram vande
Hamko jhuth bataya kyun sach ko gaya chipaya kyun
Sheron ke khoon ko kar thanda aesa itihaas padhaya kyun

Maharana pratap mahan assi kilo ka bhala tha
Ek hazar ko mare akela janta ka rakhwala tha
Naam suna jab akbar ne badi mushkil hosh samhala tha
Jab samne aya bole bandu aur laga zuban per tala tha
Babar babar kya hain akbar inko mahan bataya kyun
Sheron ke khoon ko kar thanda aesa itihaas padhaya kyun
Sheron ke khoon ko kar thanda aesa itihaas padhaya kyun
Charon ved padhane the jo asli gyan khajane the
Sanskrit bhasha khatam kari kyun ki hindu log dabane the
Gurukul naye bnane the shashtron ke gyan karane the
Bharat ki asli sanskriti ke darshan karwane the
Om namo namo shri om namo namo
Kyun nahi dikhaya logo ko sach bhagat singh ki fansi ka
Khoon khaol jata usko padh har ek bharat wasi ka
Neta ji ki maot ke sach ko sabke samne lana tha
Chandra shekhar azad ji ke bare mein zarur batana tha
Vande matram vande matram vande matram vande
Vande matram vande matram vande matram vande
Uddham singh ke badle ko hamko zarur padha dete
Kaise dayer mara tha wo goli paanch dikha dete
Pandra saal ke khudi ram ka jalwa to dikhla dete
Jaha sandras mara tha uss jagah ka naam bata dete
Naman hai veer shaheedon ko
Naman hai veer shaheedon ko
Naman hai veer shaheedon ko
Naman hai veer shaheedon ko
Raj guru sukhdev ke bare mein kyun gaya bataya na
Unke ghar pariwar janam ko kyun kahi gaya padhaya na
Batu keshwer tatvi to azadi ka diwana tha
Kyun bam kiya gaya taiyyar ye janta ko zarur batana tha
Ameer chand master ji ne lord harding ko mara tha
Satra december fansi ka din desh pe khud ko vara tha
Unnis april anant ram are fansi uper jhul gaye
Unnis sao das rahi shahadat unko bhi kyun bhul gaye
Vande matram vande matram vande matram vande
Vande matram vande matram vande matram vande
Jhuthe aur farhebi logon ka ab parda faash hua
Logon ko apni sanskrti ka hai ab ahsas hua
Nahi jhuth ko chalne denge sabka hai ikhlas hua
Kavi singh ki baaton ka ab lagta hai vishwas hua
Meri ye baaten sun kuch logon ka mn ghabraya kyun
Sheron ke khoon ko kar thanda aesa itihas padhaya kyun
Sheron ke khoon ko kar thanda aesa itihas padhaya kyun
Bharat hai pehchan meri aur tiranga shan meri
Bharat hai pehchan meri aur tiranga shan meri