menu-iconlogo
huatong
huatong
kishore-kumar-phoolon-ke-rang-se-from-prem-pujari-cover-image

Phoolon Ke Rang Se (From "Prem Pujari")

Kishore Kumarhuatong
nunzio313huatong
Lirik
Rakaman
Phoolon ke rang se dil ki kalam se

Tujhko likhi roz paati

Kaise bataoon kis kis tarah se

Pal pal mujhe tu sataati

Tere hi sapne lekar ke soya

Teri hi yaadon mein jaaga

Tere khayalon mein uljha raha yoon

Jaise ke mala mein dhaga

Haan baadal bijli chandan paani jaisa apna pyaar

Lena hoga janam hamein kai kai baar

Haan itna madir itna madhur tera mera pyaar

Lena hoga janam hamein kai kai baar

Saanson ki sargam dhadkan ki vinaa

Sapnon ki gitaanjali tu

Man ki gali mein mehke jo hardam

Aisi juhi ki kali tu

Chhota safar ho lamba safar ho

Sooni dagar ho ya mela

Yaad tu aaye man ho jaaye bhid ke bich akela

Haan baadal bijli chandan paani jaisa apna pyaar

Lena hoga janam hamein kai kai baar

Haan itna madir itna madhur tera mera pyaar

Lena hoga janam hamein kai kai baar

Poorab ho pachchhim uttar ho dakkhin

Tu har jagah muskuraae

Jitna bhi jaaoon main door tujhse

Utni hi tu paas aaye

Aandhi ne roka paani ne tokaa

Duniya ne hans kar pukara

Tasavir teri lekin liye main kar aaya sabse kinara

Haan baadal bijli chandan paani jaisa apna pyaar

Lena hoga janam hamein kai kai baar

Haan itna madir itna madhur tera mera pyaar

Lena hoga janam hamein kai kai baar

Kai kai baar kai kai baar

Lebih Daripada Kishore Kumar

Lihat semualogo