Usko nahin dekha hamne kabhi
Par iski jaroorat kya hogi, eh Maa
Eh Maa teri surat se alag
Bhagwan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha hamne kabhi...
Insaan toh kya Devta bhi
Anchal me pahley tere
Hai swarg ishi duniya mein
Kadmo ke taly tere
Mamta hi lootaye jis pe naiyan
Ho.o.mamtahi lootaye jispe naiyan
Aisi koi moorat kya hogi, eh Maa
Eh Maa teri surat se alag
Bhagwan ki surat kya hogi, kya hogi
Usko nahin dekha hamne kabhi..
Kyon dhoop jalaye dukhon ki
Kyon ghum ki ghata barse
Yeh haath duaon waley
Rahtey hai sadha sar pe
Tu hai to andhere path me hamy
Ho.o.Tu haito andhere path me hamy
Suraj ki jaroorat kya hogi,eh Maa
Eh Maa teri surat se alag
Bhagwan ki surat kya hogi,kya hogi
Usko nahin dekha hamne kabhi...
Kahetey hain teri shaan me to
Koi oonchey bool nahin
Bhagwan ke paas bhi Maata
Tere pyar ka mool nahin
Hum to yehi jaane tujhse badi
Ho.o..hum to yehi jaane tujhse badi
Sansar ki daulat kya hogi, eh Maa
Eh Maa teri surat se alag
Bhagwan ki surat kya hogi,kya hogi
Usko nahin dekha hamne kabhi
Par iski jaroorat kya hogi,eh Maa
Eh Maa teri surat se alag
Bhagwan ki surat kya hogi,kya hogi
Usko nahin dekha hamne kabhi...