Kuch lamhe the
Alsaaye se, bharmaaye se
Fiza mein
Kabhi sehme se
Muskaate, jaana kidhar, na jaanein
Meethi boliyaan sun lo
Aasmaani rangon ki
Meethi boliyaan sun lo
Bezubaani lamhon ki
Girte sambhalte chalte ladkhadaayein
Haan, magar ye hausla na dagmagaaye
Armaanon ki patang ko udaayein
Udaayein
Aye zindagi hamein sohbaton ka nasha hai
Yeh sohbatein yaaron ki
Aye zindagi hamein hosh ki na tu davaa de
Duaa de, dua de
Meethi boliyan sun lo
Aasmaani rangon ki
Meethi boliyaan sun lo
Bezubaani lamhon ki
Sapnon ke peechhe chale
Raahon mein hai yaadon ka pehra
Sulga ke kaali si raat
Layenge ye ujla savera
Ujla savera
Girte sambhalte chalte ladkhadaaye
Haan, magar ye hausla na dagmagaaye
Armaanon ki patang ko udaayein
Udaayein
Aye zindagi hamen sohbaton ka nasha hai
Yeh sohbatein yaaron ki
Aye zindagi hame hosh ki na tu dava de
Dua de, dua de
Meethi boliyan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyan sun lo
Bezubaani lamhon ki