Sochtaa Hoon Ke Tumhen...
Mohammad Rafi, Asha Bhosale
♥
Uploaded By- VijayRaje?️ßђ๏รคɭє
♥
(M) sochtaa hoon ke tumhen main ne kahin dekhaa hai
yaad kartaa hoon magar yaad nahin aata hai
(F) mere hamraaz mujhe tum ne wohin dekhaa hai
dil jahaan hosh mein reh kar bhi behek jaata hai
(M) jaane kya baat hai hum jab bhi mila karte hain
dil mein chupke se koi chot ubhar aati hai
(F) dil se dil milte hain afsaane banaa karte hain
aur taqdeer muhobbat ki sanwar jaati hai
(M) to phir
apne chehre pe mere khwaab-e-pareshaan ki tarah
aaj in reshmi zulfon ko machal jaane do
(F) dil mein utthte huye jazbaat ke toofan ki tarhaa
aaj har khwaab haqeeqat mein badal jaane do
(M) haay...
woh jo ehsaas thha halka sa ke tum gair nahin
aaj woh ek yaqeen bantaa nazar aata hai
(F) kho diyaa thha jo kabhi yaad ki soorat mein kahin
aaj woh pyaar mujhe miltaa nazar aata hai
aaj woh pyaar mujhe miltaa nazar aata hai
♥