Kya khoob lagti ho, badi sundar dikhti ho

Phir se kaho, kehte raho, achchha lagta hai
Jeevan ka har sapna ab sachcha lagta hai

Tareef karoge kab tak? Bolo, kab tak?
Mere seene mein saans rahegi jab tak
Kab tak main rahungi mann mein? Haan, mann mein?
Sooraj hoga jab tak neel-gagan mein
Phir se kaho, kehte raho, achchha lagta hai
Jeevan ka har sapna ab sachcha lagta hai
Ho, kya khoob lagti ho, badi sundar dikhti ho
Tum pyaar se pyaari ho, tum jaan humari ho
Ho (ho)
Khush ho na mujhe tum paakar, mujhe paakar?
Pyaase dil ko aaj mila hai sagar
Kya dil mein hai aur tamanna, hai tamanna?
Har jeevan mein tum mere hi banna
Phir se kaho, kehti raho, achchha lagta hai
Jeevan ka har sapna ab sachcha lagta hai
Ho, kya khoob lagti ho, badi sundar dikhti ho
Tum pyaar se pyaare ho (tum jaan humari ho)