Taara toota hai jalne ko ya wo jal ke toota hai
Rabse rootha hai, abse jhootha hai
Kabse bhookha hai
Khana do usey khaane ko
Maangta hai wo aasmaan tabhi
Chaahta hai wo bhaagna nahi
Aankna nahi usko tum kabhi
Jaana hai usey jaane do
Maile panne hain kaale aansu hain
Kaisa jaadu hai, lab bekaabu hai
Baat naazuk hai, raat chaabuk hai
Gaana hai mujhe gaane do
Thoda toh rehem mujhpe rab kare
Naam leke wo baitha hai bade
Zid pe hum ade khudse kya dare
Duniya baaki hai paane ko
Aankhein khaali hain saansein jaali hai
Tere honthon pe kiski laali hai
Ponchh de issey ya mujhe mitaa
Ya manaa usey maane jo
Chaar diwaarein
Chaar hain kamre
Do hain paudhe
Chaar hain gamle
Sau bahaane
Chaar hain hamle
Do badan hain
Chaar hain chamde
Do hain pal aur
Chaar hain nakhre
Waqt kahaan ki
Waqt ko pakdein
Chaar tijori
Laakh hain pehrein
Chaar hain log
Jaane kya hain kehte
Gham ka kaafiya kam
Magar kam ye hota nahi
Ishq mai karta hu, tum karti ho
Toh kyun ham ye hota nahi
Mai tumhaare saath sota nahi
Tumhaare baghair bhi nahi
Tumhare aashiq nahi pasand magar wo
Tumse pyar karte hain toh mujhe koi bair bhi nahi
Tu meri baat samajh
Raat samajh subah hui
Baat khatam sulah hui
Na hui toh kyun bhalaa
Ya khuda kya maamla
Na akal me daakhila
Har dakhal pe gaaliyaan
Na shakal pe maafiyaan
Na shakal pe maafiyaan dikhaayi de
Na galti kya safaai de
Toot jaate aaine bhi haq mein na gawaahi de
Kya kahu? Jo tumhe khamoshiya sunaayi de
Main door jaana chahu tu na baahon se rihaayi de
Rok loge kya? Yakeen vo tod doge kya?
Mujhse upar ni hai kuch zamaana chhod doge kya?
Zindagi banoge meri maut doge na
Mere ghaav roz roz tum kuredoge toh na?
Aasmaan pe jaana hai jo tu ho raasta mera
Jo tu hi kho gyaa toh manzilon se waasta kahaan?
Main dhoondti hu khud ko par jo dhoondh paaun na
Mujhko apna kehke duniya ko saboot doge kya?
Main taara mere tootne ki na karo dua
Jo taara toota toh na phir kisi vo ek ka hua
Khwaahishein toh rakhta vo bhi hai aur tu bhi sath ki
Jisko dekhe tu vo dekha maine dekhta hua
Zamaane ko taraashe vo tu kon se bharam mein hai
Tera aaina hu main mujhse kyu sharam mein hai?
Main padhti aankhein hu teri tu bolne se kyun dare
Kyu sab mein dhoondhta hai kya mera toh tujhme hi sab hai
Dekh aankhon ko meri
Bol kya dikha?
Hum dikhe ya gham dikhe ya aur kya dikha
Main jaanti bakhoobi hu tu tha nahi mera
Phir bhi khamakhaan ye dard hai ki tu nahi mila