menu-iconlogo
logo

Har Taraf Har Jagah

logo
Lirik
har taraf har jagah

beshumaar aadmi

har taraf har jagah

beshumaar aadmi

phir bhi tanhaaiyon ka

shikaar aadmi

har taraf har jagah

beshumaar aadmi

subah se shaam tak

bojh dhotaa hua

subah se shaam tak

bojh dhotaa hua

apni hi laash ka

khud mazaar aadmi

apni hi laash ka

khud mazaar aadmi

phir bhi tanhaaiyon ka

shikaar aadmi

har taraf har jagah

beshumaar aadmi

har taraf bhaagte

daudate raaste

har taraf bhaagte

daudte raaste

har taraf aadmi ka

shikaar aadmi

har taraf aadmi ka

shikaar aadmi

phir bhi tanhaaiyon ka

shikaar aadmi

har taraf har jagah

beshumaar aadmi

roz jeeta hua

roz martaa hua

roz jeeta hua

roz martaa hua

har naye din naya

intezaar aadmi

har naye din naya

intezaar aadmi

phir bhi tanhaaiyon ka

shikaar aadmi

har taraf har jagah

beshumaar aadmi

zindagi ka muqaddar

safar dar safar

zindagi ka muqaddar

safar dar safar

aakhri saans tak

beqaraar aadmi

aakhri saans tak

beqaraar aadmi

phir bhi tanhaaiyon ka

shikaar aadmi

har taraf har jagah

beshumaar aadmi

har taraf har jagah

beshumaar aadmi

Har Taraf Har Jagah oleh Shreya Ghoshal/Kunal Ganjawala - Lirik dan Liputan