Tum
Woh apsara jo ho kitaabon me kahin dafan
Main dhoondta raha tumhe na koi bhi khabar
Bas kehta ki
Tu mil bhi ja
Mil bhi ja
Meri jaan
Ab ho gayi subaah
Tu aa bhi ja
Tera intezaar hai
Abhi bhi tujhse pyaar hai
Jeene ko kuch hai nahi
Teri aankhein hi yaad hai
Kehta mil bhi ja
Mil bhi ja
Meri jaan
Teri ye raahein main
Pukaarun
Ek ehsaan kardo mujhpe
Zindagi aasan kardo mujhpar
Binti ke insaan samjho mujhko
Bhale hi mehmaan kardo mujhko
Samajhdaar ko ishaara kaafi hai
Par tum ishq mein gawaar samjho mujhko
Mohabbat apni bech jo rahe ho
Ek din ke liye bazaar samjho mujhko
Banjaara hoon main, tum ghar the mere
Kaash, Lekin, Tum agar the mere
Kamiyan thi haan, par jaise the sanam the mere
Ab na ban sakoge jaana iss janam mein mere
Majboori meri, Marzi teri hai
Aasmaan mein, Ye zameen teri hai
Galtiyon ka aadi, kya kami teri hai?
Kya karunga ruk kar, Tu gham hi de rahi hai
Tune chhoda akela
Kyun
Tu mera na main kyun hoon tera?
Tere bina chhaaya andhera
Main haara tha tujhko
Main haara samay tha
Abhi main dhoondhoon
Aashqui teri
Tujhe log mile naye
Tabse baat bhi nahi
Mujhe
Karti hogi ab tu yaad bhi nahi
Ab tu maanti to maanti hai khaak bhi nahi
Main sota kam par mere sapne hai kaafi zyada
Tujhko paana ya chahna jaana hai kya iraada
Dil tha poora mera kar gayi tu aadha aadha
Tere bin pata chala kya hota sona bin sirhaana
Dil ab aansuo ko rokta nahi hai
Tujhe jaane se ye rokta nahi hai
Fazool baatein lagti ab mohabbatein
Kaise dil lagayein, sochta nahi hai
Tum
Woh apsara jo ho kitaabon me kahin dafan
Main dhoondta raha tumhe na koi bhi khabar
Bas kehta ki
Tu mil bhi ja
Mil bhi ja
Meri jaan
Ab ho gayi subaah
Tu aa bhi ja
Tera intezaar hai
Abhi bhi tujhse pyaar hai
Jeene ko kuch hai nahi
Teri aankhein hi yaad hai
Kehta mil bhi ja
Mil bhi ja
Meri jaan
Teri ye raahein main
Pukaarun