Aaya na humko pyar jatana
Pyar kabhi se tujhe karte hain
Aaya na humko pyar jatana
Pyar kabhi se tujhe karte hain
Bholapan tera bha gaya humko
Saadgi par tere marte hain
Aaya na humko pyar jatana
Pyar kabhi se tujhe karte hain
Bholapan tera bha gaya humko
Saadgi par tere marte hain
Jisne hamare dil ko samjha
Wo ek tera hi dil hai
Jisne hamare dil ko samjha
Wo ek tera hi dil hai
Tera aanchal teri baahen
Apni yahi to manzil hai
Apni yahi to manzil hai
Hum to tere ho hi chuke hain
Apna kehte darte hain
Bholapan tera bha gaya humko
Saadgi par tere marte hain
Surat acchi sirat acchi
Tu to ek hai aankhon mein
Ho surat acchi sirat acchi
Tu to ek hai aankhon mein
Dil karta hai dil se laga loon
Rakh loon chupa ke aankho mein
Khud pe bharosa badh jaata hai
Jab tere saath guzarte hain
Bholapan tera bha gaya humko
Saadgi par tere marte hain
Ek hi jeevan mein to dil Ki
Pyaas bujha nahin payenge
Ek hi jeevan mein to dil Ki
Pyaas bujha nahin payenge
Tujko Phir paane ke liye hum
Phir duniya mein aayenge
Pyar amar hai amar hi rahega
Marne ko insaan marte hain
Bholapan tera bha gaya humko
Saadgi par tere marte hain
Aaya na humko pyar jatana
Pyar kabhi se tujhe karte hain
Bholapan tera bha gaya humko
Saadgi par tere marte hain
MalekZaman