Marke bhi na vaada apna todenge
Ek duje ka saath kabhi na chhodenge
Apna to sadiyon janmon ka naata hai
Jaan se jaan ko kaun juda kar paata hai
Tere siva, tere siva
Tere siva is dariya ka
nahin koi kinaara sanam
Ho, nahin koi kinaara sanam
Tere naam humne kiya hai
jeevan apna saara sanam
Ho, jeevan apna saara sanam
Tere ishq ne saathiya
Mera haal kya kardiya
Tere ishq ne saathiya
Mera haal kya kardiya
Nainon se behte ashkon ke dhaaron mein
Humne tujhko dekha chaand sitaaron mein
Virha ki agni mein pal pal tapti hai
Ab to saansein teri maala japti hai
Tere liye, tere liye
Tere liye is duniya ka
har sitam hai gawaara sanam
Ho, har sitam hai gawaara sanam
Tere naam humne kiya hai
jeevan apna saara sanam
Ho, jeevan apna saara sanam
Pyaar bahut karte hai tumse
ishq hai tu humara sanam
ishq hai tu humara sanam