Yaadon ke purane album mein Chupa ke rakhe hai humne Wo Din
Mmm,Gullak mei Padi Chavanni si,bacha ke rakhe hai humne Wo Din
Na kisi Manzil ki Fikar thi
Zindagi jéene ki umar thi
Dosti aur Doston se udhar ke din the
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Hmm,woh din bhi kya din the!
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh) Ayy, ayy
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Bigde hue insan the, seitan ki santan the
Ho, lekin, brother, jo bhi kaho
Wo yaar hi to jaan the
College ki kudi se karne akhain chaar ke din the
Ayye zindagi main pehle-pehle pyaar ke din the
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Wo Din bhi kya din the
Karna mana the kaam jo, hamne kiya har kaam wo
Jinki nahin thi permission, saare kiye intezaam wo
Bedhab harkato ke bhoot sar pe sawar ke din the
Had karne ke, yaaron, aar ya phir paar ke din the
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Ho-ho, woh din bhi kya din the!
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Hmm, kharbujon ko kharbhujon ki mili si sangat ke apne wo din
Ho, jiban pe chadhi jaawani ki nai si rangat ke apne wo din
Yaad hai filmon ke purane RD Burman Ke wo Gaane
Band ke, Keyboard ke aur guitar ke din the
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Mmm, Wo Din Bhi Kya Din The!
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)
Wo Din bhi kya din the
(Whoa-oh-oh, whoa-oh-oh)