Main wahan jahan pe tu hai
Mera ishq toh junoon hai, O jaana, O jaana
Main wahan jahan pe tu hai
Mera ishq toh junoon hai, O jaana
Har waqt tu hi tu hai
Har sinf tu hi tu hai, O jaana
Tum saath mere hardam
Chaahe kahin bhi hoon, O jaana
Main wahan jahan pe tu hai
Mera ishq toh junoon hai, O jaana
Din raat sochta hoon
Tujhe itna pyar main doon
Joh kabhi utar na paaye
Tujhe woh khumaar main doon
Mujhe aise tu kuch mila hai
Jaise ke koi dua hai
Tujhpe koi aanch aaye
Toh main khud ko bhi jala loon
Har din mujhi mein tu hai
Har shab mujhi mein tu hai
Har din mujhi mein tu hai
Har shab mujhi mein tu hai, O jaana
Main wahan jahan pe tu hai
Mera ishq toh junoon hai, O jaana, O jaana
Har pal tujhe sambhaloon
Tere saare gham utha loon
Mera dil toh yehi chaahe
Tujhe rooh mein saja loon
Tera aks noor sa hai
Tu ek suroor sa hai
Dilkash teri ada ka
Har lamha main chura loon
Hardam khudi mein tu hai
Meri bekhudi mein tu hai
Hardam khudi mein tu hai
Meri bekhudi mein tu hai, O jaana
Main wahan jahan pe tu hai
Mera ishq toh junoon hai, O jaana, O jaana