gum hain hum kahaan pehlee dafaa?
khaali hain ye raaste kuch is tarah
aankhon mein hai nami, honton pe dua
din, naa beetein raatein-subah
kya ye zindagi, laae hamein kahaan?
kal kee talash mein baithaa hai ye jahaan
mere jazbaat khoe, bikhare hain kahaan?
khaamoshi chai hai, kab hoga khulaa aasamaan
maine sunaa hai aaj kal too bhee khoyaa hua hai
kuch main jaagi see hoon , kuch too bhee soyaa hua hai
dil beetee baathen yaad kar ke bhee khush to hai naa
to phir kyun hum naaraaz hain?
ye pal hee to pal hai, magar biit jaaegaa
thoda sa thahar ek door kaheen
hai ek raushnee teri talash mein
rukii hai, chhupee hai us raaste kee chaah mein
too baahen kholen to haule se vo samaa jae
haan , ye zindagi laae hamein yahaan
doori to hai sahee aur hain bhee hum kafa
is pal mein khud ko bhee kar de too reeha
khaamoshi chai hai, kal hoga khulaa aasamaan
khulaa aasamaan