Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai?
Aakhir is dard ki dawa kya hai?
Aakhir is dard ki dawa kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai?
Hum hain mushtaaq aur wo be-zaar
Hum hain mushtaaq aur wo be-zaar
Hum hain mushtaaq aur wo be-zaar
Ya ilaahi ye maajra kya hai?
Ya ilaahi ye maajra kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai?
Jab ke tujh bin nahin koi maujood
Jab ke tujh bin nahin koi maujood
Jab ke tujh bin nahin koi maujood
Phir ye hangama ai Khuda kya hai
Ye pari-chehra log kaise hain
Ghamza-o-ishwa-o-ada kya hai
Shikan-e-zulf-e-ambrein kyun hai
Nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
Sabza-o-gul kahaan se aaye hain
Abr kya cheez hai, hawa kya hai
Jab ke tujh bin nahin koi maujood
Phir ye hangama ai Khuda kya hai
Main ne maana ke kuchh nahin ghalib
Main ne maana ke kuchh nahin ghalib
Muft haath aaye to bura kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai?