menu-iconlogo
logo

Dil Ka Koi Tukda

logo
Letra
Dil ka koi tukda kabhi dil se juda hota nahin

Apna koi jaisa bhi ho apna hai vo dooja nahin

Yehi vo milan hai jo sachmuch hai dil ka karaar kya kehna

Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna

Aye dil laaya hai bahaar apnon ka pyaar kya kehna

Milein hum chhalak utha khushi ka khumar kya kehna

Kuchh apne hi tak yoon nahin ye hai sawaal sabke liye

Jeena hai to jag mein jiyo banke misaal sabke liye

Dekho kaisa mehek raha pyaar bhari baahon ka haar kya kehna

Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna

Aye dil laaya hai bahaar apnon ka pyaar kya kehna

Milein hum chhalak utha khushi ka khumar kya kehna

Jo ho gaya so ho gaya logon se tu darna nahin

Saathi tere hain aur bhi duniya mein tu tanha nahin

Saamna karenge milke chaahe dus ho chaahe hazaar kya kehna

Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna

Aye dil laaya hai bahaar apnon ka pyaar kya kehna

Milein hum chhalak utha khushi ka khumar kya kehna

Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna

Dil Ka Koi Tukda de Kavita Krishnamurthy – Letras & Covers