jab dil se dil takraata hai
jab dil se dil takraata hai
mat poochhiye kya ho jaata hai
jhukti hai nazar
rukti hai zubaan
maathe pe paseena aata hai
jab dil se dil takraata hai
dekha tha tujhe
ik baar kahin
us din se abhi tak hosh nahin
us din se abhi tak hosh nahin
phir ishq ne karvat badli hai
phir saamne tu hai mahjabin
ab dekhiye kya kya
rang naye
deedaar tera dikhlaata hai
jab dil se dil takraata hai
ye husn sharaabi mehka badan
aur uss pe tera ye
bholapan
teri bhi ummeedein jaagi hain
kehti hai tere dil ki dhadkan
betaab hai tu bhi
mere liye
andaaz tera batlaata hai
jab dil se dil takraata hai
mat poochhiye kya ho jaata hai
mukhda na chhupa yun
haathon se
din ko na badal ab raaton se
din ko na badal ab raaton se
gulshan mein bikharne de nagmein
tu pyaar ki meethi baaton se
ae husn ki devi aankh mila
apnon se koi sharmaata hai
jab dil se dil takraata hai
mat poochhiye kya ho jaata hai
jhukti hai nazar
rukti hai zubaan
maathe pe paseena aata hai
jab dil se dil takraata hai