menu-iconlogo
logo

Hum Se Badal Gaya Wo Nigahein

logo
Letra
Singers: Mehdi Hassan Noor Jahan

Music: Master Inayat Husain

Poetry: Qateel Shifaee

Hum se badal gaya wo nigahein to kya hua

Zinda hain kitne log

mohabbat kiye baghair

Zinda hain kitne log

mohabbat kiye baghair

Guzre dinon mein jo kabhi

goonje thhe qehqahe

Guzre dinon mein jo kabhi

goonje thhe qehqahe

Ab apne ikhtyar mein wo bhi nahin rahey

Qismat mein rah gaee hein

jo aahein to kya hua

Sadma ye jhelna hai

shikayat kiye baghair

Sadma ye jhelna hai

shikayat kiye baghair

Wo saamne bhi ho to na

kholen ge hum zubaan

Wo saamne bhi ho to na

kholen ge hum zubaan

Lihki hai uss ke chehre

pe apni hi dastaan

Uss ko taras gaee hein

ye baahein to kya hua

Wo laut jaae hum pe inayat kiye baghair

Wo laut jaae hum pe inayat kiye baghair

Pehle qarib tha koi ab duriyan bhi hain

Pehle qarib tha koi ab duriyan bhi hain

Insan ke naseeb me majburiyan bhi hain

Apni badal chuka he wo rahein to kya hua

Hum chup rahein ge uss

ko malamat kiye baghair

Zinda hain kitne log

mohabbat kiye baghair

Hum Se Badal Gaya Wo Nigahein de MEHDI HASSAN – Letras & Covers