menu-iconlogo
logo

Ye Tune Kya Kiya

logo
Letra
Ishq woh balaa hai

Ishq woh balaa hai

Jisko chhua jisne woh jalaa hai

Dil se hota hai shuru

Dil se hota hai shuru

Par kambakht sar pe chadha hai

Kabhi khud se, kabhi khuda se

Kabhi zamaane se ladaa hai

Itna hua badnaam phir bhi

Har zubaan pe adaa hai

Ishq ki saazishein

Ishq ki baaziyaan

Haara main khel ke

Do dilon ka juaa

Kyun tune meri fursat ki

Kyun dil mein itni harkat ki

Ishaq mein itni barqat ki

Ye tune kya kiya

Phiroon ab maara maara main

Chaand se bichhda taara main

Dil se itna kyun haara main

Yeh tune kya kiya

Saari duniya se jeet ke main aaya hoon idhar

Tere aage hi main haara kiya tune kya asar

Main dil ka raaz kehta hoon

Ke jab jab saansein leta hoon

Tera hi naam leta hoon

Yeh tune kya kiya

Meri baahon ko teri saanson ki jo

Aadatein lagi hain waisi

Jee leta hoon ab main thoda aur

Mere dil ki rait pe aankhon ki jo

Pade parchhai teri

Pee leta hoon tab main thoda aur

Jaane kaun hai tu meri

Main na jaanu yeh magar

Jahaan jaaoon main karoon main wahaan

Tera hi zikar

Mujhe tu raazi lagti hai

Jeeti hui baazi lagti hai

Tabeeyat taazi lagti hai

Ye tune kya kiya

Main dil ka raaz kehta hoon

Ke jab jab saansein leta hoon

Tera hi naam leta hoon

Yeh tune kya kiya

Dil karta hai teri baatein sunu

Saude main adhoore chunu

Muft ka hua yeh faayda

Kyun khud ko main barbaad karoon

Fanaa hoke tunhse miloon

Ishq ka ajab hai kaayda

Teri raahon se jo guzri hain meri dagar

Main aage badh gaya hoon hoke thoda befikar

Kaho to kis se marzi loon

Kaho to kis ko arzi doon

Hansta ab thoda farzi hoon

Yeh tune kya kiya

Main dil ka raaz kehta hoon

Ke jab jab saansein leta hoon

Ishq ki saazishein

Ishq ki baaziyaan

Haara main khel ke

Do dilon ka juaa