Aisa dekha nahi khoob soorat koyi
Jism jaise ajanta ki moorat koyi
Jism jaise nigaahon pe jaadu koyi
Jism naghmah koyi
Jism khush bu koyi
Jism jaise mahakti hui chaandni
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise ke khilta hua ik chaman
Jism jaise ke sooraj ki pahli kiran
Jism tarsha huwa dil kash o dil nasheen
Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen
Husn E jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Husn E jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Aafreen aafreen aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham nasheen
Aafreen aafreen aafreen aafreen
Husn E jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Husn E jaanaan ki ta....reef mumkin nahi
Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor
Man mera khincha chala aaya teri or
Mere chehre ke subha zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa
To hai yeh jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen
Aafreen aafreen, aafreen
Aafreen aafreen, aafreen
Aafreen aafreen, aafreen
Aafreen aafreen, aafreen
Hmm..
Chehra ik phool ki tarhe shaadaab hai
Chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan E ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra taa’beer bhi
Chehra koyi alif lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen
Chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah ru maah ru meh jabeen meh jabeen
Husn E jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Husn E jaanaan ki ta’reef mumkin nahi
Aafreen aafreen aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hamnasheen
Aafreen aafreen aafreen aafreen
Husn E jaanaan ki ta....reef mumkin nahi