menu-iconlogo
huatong
huatong
sanket-nightshift-freestyle-cover-image

Nightshift Freestyle

Sankethuatong
starwalkhuatong
Letra
Gravações
Ghar se door, ghar jaise chaand

Zindagi amaavas, raat pareshaan

Ek hai shareer phir kyun kandhe chahiye chaar

Life time, No jealousy, phir kya maut pe jalunga yaar

Phatte jo maans, wo chamre se hi toh silte

Hide n seek, apne log kyun ni milte

Khud se pehle rakhaa logon ko maine

Meri bhool, Khaake thokar mai sudhra nahi till date

Chadha ke aastin mai aankh nahi dikhata

Chhupe jo isme mai wo saanp ni dikhata

Baap ne kahaa tujhme baat tu kar sakta hai

Warna jhoothe sapne baap ni dikhata

Baap kalaakaar tabhi jaanta hai

Wo dilaya jo bhi sach me mere kaam ka hai

Sach se behtar mujhe lagti meri kaamnaayein

Mera bhai samjhe zyada meri bhaavnaayein

Soya hua mera pyar dusre kamre me

Uski nishaani saaf dikhe mere chamde pe

Mera khayaal rakhe bakhoobi kamaal rakhe

Mere na bas ka to thoda wo malaal rakhe

Konsa line rakhu konsa hataa du mai

Ek hi beat pe 4 gaane gaa du mai

Maa hai dhoop tabhi zindagi ye jaadu hai

Maa se door mujhe khudpe na kaabu hai

Mujhe kya hi gham doge khushi meri behen

Dil hai saaf aur bhara bhaari mera zehen

Mai aisi baarish jiska pataa nahi baadalon ko

Meri baat na samajh me aaye paagalon ko

Aurat hota toh hayaa seekhta

Ya ladke duniya se kuch nayaa seekhta

Jo padh na paaya likhe huye nazmo ko meri

Wo mera chehra padh na kya seekhta

Kaagaz zaaya

Baatein maaya

Kaali kalam

Ujla saaya

Mann ka likha

Mann se gaaya

Dil ka maalik

Dil kiraaya

Toota taara

Jalta aaya

Khudse khudko

Kyu mitaya

Wo na paaya

Jo kamaaya

Jo gawaya

Mil na paaya

Ek hi kal

Ek hi aaj

Ek hi sach

Ek hi raaz

Ek asal

Ek nakal

Ek saral

Ek akal

Ek hi baat

Ek jawaab

Ek sawaal

Ek hi hal

Ek hi aas

Sab ho paas

Doori door se safal

Mais de Sanket

Ver todaslogo

Você Pode Gostar