menu-iconlogo
logo

Graduation Speech

logo
Letra
I was 19, sab chor k uthaya tha jab qalam

Peechay taanga basta, seena taan k wou bharam

Kal ka kuch nahi pata bus barhatay gaya qadam

Mujhe ghar ki rakhni laaj, sab hi kiya ussi sabab

Tou phir usne kiya karam, aur banatay chala raastay

Jhoot nahi bolunga, kafi mushkil thay wou maamlay

Neendein nahi puri, lekin khush houna hai saamnay

Ab pohancha is maqaam pay kay paisa de aur kaam ley

First of all, i would to thank the Almighty

Kharey kharey dhoop mein shirt houti off-white si

Parha bhi parhaya bhi aur gaanay kafi gaye bhi

Ab koi nahi karta claim, tou get off my D,

Mera business nahi hai coke but still they poke nose

Dakhal dete kaamo mein aur baney close dost

Meri table pay sab welcome nahi rakhi rok tok

Jou bhi baatain kare peechay leke jaatay nose broke

Mai hu self made

Khud hi zindagi banani, hume kisi nay nahi di

Kabhi helpless

Khud hi zindagi banani, hume kisi say nahi chayeh

Kiukay self made

Kaafi egoistic mind, aur khudaari leke chala

Since tenth grade

Par kabhi helpless

Lekin kuch chora nahi back pay

Shuru say tha mai mad man

Jisko akay milna hai tou milay mujhse track pay

Ya mic pay, ya beat pay, ya samnay wali seat pay

Apno ka sahara beta ghairo ko bhi seekh dein

Subah houti back bench pay shuru houti daily tafreeh

Kaam shuru, mehnat kari

Jootay ghissay, eerhi raghri

Mujhe manzil pay hai jaana tou phir duniya blurry

Agaya hu agay kaafi chayeh mujhe pay bhi bari

4 saal and i waited for this day

Ankhou mein hai ansu i got nothing left to say

Wou phoolay na samaye jaye, ab log milnay aye jaye

Ghar walay mere khush meri khushi issi mein

Lekin apki hai kami and i miss better days

Bachpan wala time apkay saath saturdays

And i saved a seat for u udhr maa k barabar

But I guess, u′re in a better place

Par khair, afsos wali baat nahi

Mujhe pata hai kay arsh say ap mujhe jhaank rahi

Muskurata upar dekhu jese k ap jaanti

Houti mulaqaat meri reh gayi thouri baat cheet

Mujhe chayeh thoura break, I'll be back on eid

Pehni cap aur yeh gown, samnay bhari seats

I did it for my maa, I did for my dad

Yeh degree apkay naam, this my graduation speech

Graduation Speech de Shareh/superdupersultan – Letras & Covers