Kishore da hamesha juhu beach pe
Morning walk kiya karte the
Ek din batane lage ki subah jab mai walking kar raha tha
Toh samne se ek buddhi aurat aa rahi thi
Uske sath ek bohot hi khubsurat
Naujawan ladki thi
Aur uss ladki toh dekhke mere muh se nikalgaya
Wahh
Kya chand ka tukda hai
Buddhi mere kareeb aayi
Usne mera hath pakda chuma or bola thankyou
Aapne mujhe chand kaha
Yeh meri beti hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsoos yeh hai ke woh humse
Kuch ukhda ukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Jis roz se dekha hai usko
Hum shamma jalana bhool gaye
Jis roz se dekha hai usko
Hum shamma jalana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hai
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pehar in aankhon mein
Woh chanchal mukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garajkar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Baadal bhi garajkar baras gaye
Par uski ek jhalak ko hum
Ae husn ke malik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat yeh dukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsoos yeh hai ke woh humse
Kuch ukhda ukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai