Tera mera pyar amar
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Tera mera pyar amar
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Mere jivan saathi bata
Dil kyun dhadke reh reh kar
Kya kahaa hai chand ne
Jisko sunke chandani
Har leher pe jhumake
Kyun ye nachane lagi
Chahat ka hai harsu asar
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Tera mera pyar amar
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Keh raha hai mera dil
Ab ye raat na dhale
Khushiyon ka ye silsila
Aise hi chala rahe
Tujhko dekhun dekhun jidhar
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Tera mera pyar amar
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Hai shabab par umang
Har khushi jawaan hai
Meri dono bahon mein
Jaise aasman hai
Chalti hu mai taro par
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Tera mera pyar amar
Phir kyun mujhko lagta hai dar
Mere jivan saathi bata
Dil kyun dhadke reh reh kar