Yeh duniya, yeh mehfil 
Mere kaam ki nahi - 2 x (4) 
Kisko sunaaun haal dil-e-bekaraar ka 
Bujhta hua charag hoon apne mazaar ka 
Aye kaash bhool jaaun magar bhoolta nahi 
Kis dhoom se utha tha janaza bahaar ka 
Yeh duniya yeh mehfil 
Mere kaam ki nahi - 2 
Apna pata mile na khabar yaar ki mile 
Dushman ko bhi na aisi saza pyaar ki mile 
Unko khuda mile hai khuda ki jinhe talaash 
Mujhko bas ik jhalak mere dildaar ki mile 
Yeh duniya yeh mehfil 
Mere kaam ki nahi - 2 
Sehra mein aake bhi mujhko thikana na mila 
Gham ko bhulaane ka koi bahana na mila 
Dil tarse jismein pyaar ko 
Kya samjhoon us sansar ko 
Ik jeeti baazi haar ke 
Main dhoondhun bichhde yaar ko 
Yeh duniya yeh mehfil 
Mere kaam ki nahi - 2 
Door nigahon se aansoo bahaata hai koyi 
Kaise na jaaoon main mujhko bulata hai koyi 
Ya toote dil ko jod do 
Ya saare bandhan tod do 
Aye parbat rasta de mujhe 
Aye kaanton daaman chhod do 
Yeh duniya yeh mehfil 
Mere kaam ki nahi - 2 x (3).