menu-iconlogo
logo

Fariyaadein

logo
Тексты
Likhe hue lafzo ko hua mujhe ek saal

Haatho mein hai jang ya zehen mein hai jung hazaar

Aaj bhi wahi khoon wahi maut wahi maatam

Aise hain haalat ki bas aansu mein hai aadam

Baat jo cheddi maatam ki to yaad aata rona unka

Laashe leke rota waalid bete ko par kuch nahi sunta

Aaj bhi wahi chuppi bas cheenkh rahi hai

Aaj bhi wahi nafrat bas cheenkh rahi hai

Aaj bhi apni pehchaan chupaate ghume mere bhai

Aaj bhi apne asli naam batate nahi mere bhai

Aaj bhi dagaabaaz samajhta ye zamana humein

Aaj bhi wo salaakhein bani qatl ka bahana mere

Sajdo ke liye humaare zameen nahi hai par

Kabristan banane ke liye kami nahi hai

Azaan hoti khuda ke ghar jaane ki awaaz

Socha na tha badal jayega ye bhi riwaaz

Fariyaadein ki wo bheek nahi

Par de di tumne seekh sahi

Ye haadse hum na bhulenge

Imaan hai tabtak jhelenge

Fariyaadein ki wo bheek nahi

Par de di tumne seekh sahi

Ye haadse hum na bhulenge

Imaan hai tabtak jhelenge

Mohabbato se nafrato ka faasla hai kaafi

Kadam aage jo badhata tumko lage meri maafi

Chaukhat tak jo aaya hai tumhaare ye fariyaadi

Chotil karke bheja mere pehchaan ki barbaadi

Qaum ne meri bhi to dekhi yu to baddi baddi jungein

In dhamkiyo se darrte nahi allah ke ye bandein

Karbala mein pyaase rehke fana hue wo laddake

Isliye aaj bhi dudh ka sharbat hum sabko hain pilaate

Aata hun main jab bhi muhalle mein tumhare

Naam puchte kehte tum kaise yaha pe aa gye

Apne saath na bithate na khilaate na jagah de

Phir kehte bhi ye khud ki hum pakistan hai basate

Fariyaad hai ye dil se ki tum sun lo meri baatein

Buri lagengi agar to tum nafrat ho failaate

Seedhi baatein rakhunga mai bhi aise hi to aage

Kyunki yaad hai mujhe wo sab haadse yaha ke

Fariyaadein ki wo bheek nahi

Par de di tumne seekh sahi

Ye haadse hum na bhulenge

Imaan hai tabtak jhelenge

Fariyaadein ki wo bheek nahi

Par de di tumne seekh sahi

Ye haadse hum na bhulenge

Imaan hai tabtak jhelenge

Fariyaadein от Agaahi Raahi - Тексты & Каверы