Dil lagaayein ya na lagaayein
Sochna hai yeh sochna
Aazmaayein ya baaz aayein
Sochna hai yeh sochna
Dil-e-na-tawaan
Hai chala kahaan
Kisi rahguzar ka nahin nishaan
Dil chot hi na khaaye toh
Banti nahin kahani
Iss raah mein to dil tootne
Ki rasm hai puraani
Meherbaaniyaan hein yeh pyaar ki
Jo nadaaniyaan karaaye
Yeh woh aag hai na jalaaye to
Kahin chain bhi na aaye
Khel jaayein ya laut jaayein
Sochna hai yeh sochna
Jhool jaayein ya bhool jaayein
Sochna hai yeh sochna
Dil-e-na-tawaan
Hai chalaa kahaan
Kisi rahguzar ka nahin nishaan
Jaane kahaan le jaayegi
Kaisi hai yeh khumari
Inkaar bhi kiye jaaye par
Duniya issi se haari
Woh jo ho gaye kisi par fida
Woh na koi baat maanein
Yeh woh rog hai jo kare fanaa
Hain issi ki daastaanein
Na bataayein ya na chhupaayein
Sochna hai yeh sochna
Dil bachaayein ya jaan de jaayein
Sochna hai yeh sochna
Dil-e-na-tawaan
Hai chalaa kahaan
Kisi rahguzar ka nahin nishaan
~ZaYn KhAn