Zindagi ittefaq hai
Zindagi ittefaq hai
Kal bhi ittefaq thi
Aaj bhi ittefaq hai
Zindagi ittefaq hai
Jaam pakad badha ke haath
Maang dua ghate na raat
Jaane wafaa teri kasam
Kehte hai dil ki baat hum
Gar koi mail ho sake
Aankhon ka khel ho sake
Apne ko khushnaseeb jaan
Waqt ko meharbaan maan
Milte hain dil kabhi kabhi
Warna hai ajnabee sabhi
Mere humdum mere meharbaan
Har khushi ittefaq hai
Har khushi ittefaq hai
Kal bhi ittefaq thi
Aaj bhi ittefaq hai
Zindagi ittefaq hai
Husn hai aur shabaab hai
Zindagi kaamyaab hai
Bazm yunhi khili rahe
Apni nazar mili rahe
Rang yun hi ramaa rahe
Waqt yunhi thama rahe
Saaz ki lai pe jhoom le
Zulf ke fan ko choom le
Mere kiye se kuchh nahin
Tere kiye se kuchh nahin
Mere humdum mere meharbaan
Ye sabhi ittefaq hai
Ye sabhi ittefaq hai
Kal bhi ittefaq thi
Aaj bhi ittefaq hai
Zindagi ittefaq hai
Zindagi ittefaq hai
Koi to baat kijiye
Yaaron ka saath dijiye
Kabhi gairon pe bhi
Apnon ka gumaan hota hai
Kabhi apne bhi
Nazar aate hai begaane se
Kabhi khaabon mein chamakte hain
Muraadon ke mehal
Kabhi mehlon mein ubhar aate hain
Veerane se
Koi rutt bhi sadaa nahin
Kya ho kab kuchh pata nahin
Ghum fazul hai ghum naa kar
Aaj to jashan kam naa kar
Mere humdum mere meharbaan
Har khushi ittefaq hai
Kal bhi ittefaq thi
Aaj bhi ittefaq hai
Zindagi ittefaq hai
Khoye se kyun ho iss kadar
Dhoondhati hai kise nazar
Aaj maaloom hua
Pehle ye maaloom naa tha
Chaahten badh ke
Pashemaan bhi ho jaati hai
Dil ke daaman se lipatati huyi
Rangeen nazren
Dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
Dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
Yaar jab ajnabi bane
Yaar jab berukhi bane
Dil pe seh jo gila naa kar
Sab se hans kar mila nazar
Mere humdum mere meharbaan
Dosti ittefaq hai
Kal bhi ittefaq thi
Aaj bhi ittefaq hai
Zindagi ittefaq hai