Darmaan-e-Gham-e-Hijr agr ho tou mujhy kia
Az raah tumhain abb meri khabr ho to mujhy kia
Jab ho gie gham sy meri dunya tah o baala
Abb aik jahan zeyr o zabar ho tou mujhy kia
Jab khaak bhi baaqi na rahi qalb o jigger ki
Tum mery liay khaak basar ho tou mujhy kia
Aur mery Dil-e-Weeraan main ujaala nahi hota
Tum gheyrat o khursheed o qamar ho tou mujhy kia
Aur hay abb meri dunya main sarasar Shabb-e-Furqat
Abb ess Shab-e-Furqat ki sehar ho tou mujhy kia
Aur achha hy ky bin mery guzar jaaey kisi ki
Achha hy ky bin mery guzar jaaye kisi ki
Aur youn bhi kisi ki na guzar ho tou mujhy kia
Bichharr gia
Hay tou main bhi
Ussy bhulaa doun ga
Bichharr gia hay tou main bhi ussy bhulaa doun ga
Marroun ga khudd bhi ussy bhi karrri saza doun ga

Jalaa rahi hain mera dil nishaaniyaan teyri
Main teyry khatt teri tasveer bhi jalaa doun ga
Marroun ga khudd bhi ussy bhi karrri saza doun ga
Bichharr gia hay tou main bhi ussy bhulaa doun ga
Wafa karun ga kisi sougwaar chhehry sy
Puraani qabr py katba neyya saja doun ga
Marroun ga khudd bhi ussy bhi karrri saza doun ga
Bichharr gia hay tou main bhi ussy bhulaa doun ga
Yeh teergi mery ghar ka hi kiun muqaddar ho
Main tery shehr ky saary diyyey bujha doun ga
Marroun ga khudd bhi ussy bhi karrri saza doun ga
Bichharr gia hay tou main bhi ussy bhulaa doun ga
Tu aasmaan ki soorat hy gir parry ga abhi
Zameen houn main magar tujh ko aasraa doun ga