Singer : Hari Om Sharan
Album : Permanjali Pushpanjali
Maili chadar odh ke kaise
Maili chadar odh ke kaise
Dwaar tumhare aaun
Maili chadar odh ke kaise
Dwaar tumhare aaun
Hey paavan parameshwar mere,
Mann hi mann sharamaau
Maili chaadar odh ke kaise
Dwaar tumhare aaun
Maili chaadar odh ke kaise
Toone mujhko jag mein bheja,
Nirmal dekar kaaya
Aakar ke sansaar mein maine,
Isko daag lagaaya
Janam janam ki maili chaadar,
kaise daag chhudaoon
Maili chadar odh ke kaise,
Dwaar tumhare aaun
Maili chaadar odh ke kaise
Nirmal vaani paakar tujhase,
Naam na tera gaaya
Nain moondakar he parameshvar,
Kabhi na tujhko dhyaaya
Mann vinaa ki taaren tooti,
Ab kya geet sunaoon
Maili chadar odh ke kaise,
Dwaar tumhare aaun
Maili chaadar odh ke kaise
Tu hai aparampaar dayaalu,
Saara jagaat sambhaale
Jaise bhi hun, main hun tera,
Apani sharan lagaale
Chhod ke tera dvaara daata,
Aur kahin nahin jaau
Maili chaadar odh ke kaise,
Dwaar tumhare aaun
Maili chaadar odh ke kaise,
Dwaar tumhare aaun
He paavan parameshvar mere,
Mann hi mann sharamaoon
Maili chadar odh ke kaise,
Dwaar tumhare aaun
Maili chaadar odh ke kaise
Maili chaadar odh ke kaise
Maili chaadar odh ke kaise..
THANKS