menu-iconlogo
logo

Smritiyaan

logo
Тексты
Tujh jaise lakh kya tujhmein hai alag baat

Nakhun laal, haan aise khureda zakhmo ko

Hath mein chaku aawazen nikli ab tak do

Anjaane mein puche usne sawaal itne

Laal syahi mein cheekte mere akshar vo

Jo sach hai ki guroor hai insaano mein

Dharam hai bikta zayada yahan logon ke imaanon se

Logon ke chehre karte kaale ye asaani se

Samajhte kuch na bas jeete ye bemaani mein

Ussi kal ke loop mein fasa main bhi aaj

Bola jhoot, bhaga duur na dikha koi raah

Tapke paasena, mann mein Darr na mile koi raah

Ankhen laal, farsh pe khoon bas wohi khwab

Lage jaise ki main thanda sa pada hun

Nasen band ankhen laal jaise main jaa chuka hun

Par ankhon ke asoon ab yun darr ki or bhagte

Toota sapna dikhi raah khudmein jhaank ke

Ye smritiyan saari really got me fu**ed up

Vo bola tu lad lega sach se ab darr mat

Toda seesha aayi saans lage sab sach

Shayad tehraav se jeena hi asal maksad

Aaj raat saare irade hai aadhe

Main khudse duur bhagna chahta hun

Bhot duur

Jahan shayad insaan na ho ya jahan shayad imaan ho

Bharosa kare kispe main apni parchai se bhi darta hun

Seeshe se anken milake bhi ladta hun

Raat ko sota nahi subah ho jaati hai ladte ladte

Vo asal mein raat ko apne vajood se baat karna sabse galat kaam hai shayad

Ek tarfa sawal ke do tarfa jawab

Puche vo roz kuch khaas hai tere khwab mein

Mujhe darr lagta hai, maine bol diya saaf saaf aaj

Aawaz boli "Tujh jaise hai lakh, tujhmein na koi khaas baat"