Once
more
Going
to
rock
With
his
Khamoshiyan
Arjit Singh
Khamoshiyan
aawaaz hain
Tum sun'ne to aao kabhi
Chhukar tumhe
khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain
baat karne ko
teri meri khamoshiyan
lipti hui khamoshiyan
Kya uss gali mein
kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko
guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua
Khamoshiyan
ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan
alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain
baat karne ko
teri meri khamoshiyan
lipti hui khamoshiyan
Music- Jeet Ganguly
Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan
Khamoshiyan
aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan
ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
teri meri
khamoshiyan
lipti hui
khamoshiyan
teri meri khamoshiyan
lipti hui
KHAMOSHIYAN