Jhonka Hawa Ka Aaj Bhi
Zulfe Udata Hoga Na
Tera Dupattaa Aaj Bhi Tere
Sar Se Sarakta Hoga Na
Baalo Me Tere Aaj Bhi
Phul Koi Sajataa Hoga Na
Thandi Hawaaye Raaton Me Tujhko
Thapakiyaan Deti Hogi Na
Chaand Ki Thandak Khwabon Me Tujhko
Leke To Jaati Hogi Na
Suraj Ki Kirane Subah Ko Teri
Neede Udaati Hogi Na
Mere Khayaalon Me Sanam
Khud Se Hi Baate Karati Hogi Na
Main Dekhta Hun Chhup Chhup Ke Tumako
Mahesoos Karati Hogi Na
Jhonka Hawa Ka Aaj Bhi
Zulfe Udata Hoga na
Tadev Lagnam Suridam Tadeva
Naarabalam Chandra Balan Tadeva
Vidya Balam Daiva Balan Tadeva
Lakshmi Pate Tendra Yugam Swarami
Shubmangal Sawadhan
Kagaz Pe Meri Tasveer Jaisi
Kuchh To Banati Hogi Na
Ulat Palatke Dekh Ke Usko
Jee Bhar Ke Hansti Hogi Na
Hanste Hanste Aankhein Tumhari
Bhar Bhar Aati Hogi Na
Mujhko Dhaka Tha Dhoop Mein Jisse
Wo Aanchal Bhigoti Hogi Na
Saawan Ki Rimjhim Mera Taraana
Yaad Dilati Hogi Na
Ek Ek Meri Baatein Tumko
Yaad To Aati Hogi Na
Yaad To Aati Hogi Na
Yaad To Aati Hogi Na
Kya Tum Mere In Sab Sawaalon Ka Kuchh To Jawaab Dogi Na.
Thanks for joining