Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai...
Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya mein
gham ki bhi zaroorat hoti hai
Ae waaiz e naadan karta hai
tu ek qayamat ka charcha...
Ae waaiz e naadan karta hai
tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milti hain
yahan roz qayamat hoti hai
Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai
Wo pursish e gham ko ayae hain
kuch keh na sakoon chup reh na sakoon..
Wo pursish e gham ko ayae hain
kuch keh na sakoon chup reh na sakoon
khaamosh rahoon to mushkil hai
keh doon to shikaayat hoti hai
Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai
Karna hi padega jabt e alam
peene hi padenge ye aansoo...
Karna hi padega jabt e alam
peene hi padenge ye aansoo
fariyaad o fugaan se aey naadaan
tauheen e mohabbat hoti hai
Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai
Jo aake ruke daaman pe ‘Saba'
wo ashq nahin hai paani hai...
Jo aake ruke daaman pe ‘Saba'
wo ashq nahin hai paani hai
jo ashq na chhalke aankhon se
us ashq ki keemat hoti hai
Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya mein
gham ki bhi zaroorat hoti hai