Gustaakh dil dhimaa padaa hai
Akhir kya sochtha, kya chaahata hai?
Zaahir kar de zaraa, ai dil, yoon naa der kar
Naadaan dil, lab pe pade hain taale
Kaise kahen? kithna ise sanbhaalein?
Hum jee rahe hain bas tumhein dekhakar
Hoke yoon hee besabar
Tanhaiyon mein raat-bhar
Rozaana dil kee deevaaron pe
Tere naam ke aage mera naam likhata hoon
Rozaana kyun khwaah-makhaah hee main
Takie tale teri tasveer rakhtaa hoon ?
Bhiige pade hain khwahishon ke baadal
Besudh khadey manamanion mein aakar
Roke hue har lafz ko honth par
Lamhe ginen ab ungliyon pe chhupakar
Dhadakan meri bhee puuchhati hai aksar
"Gum hai kahaan? ai dil, zaraa shor kar"
Hoke yoon hee bekhabar
Khaamoshiyon mein raat-bhar
Rozaana dil kee deevaaron pe
Tere naam ke aage mera naam likhata hoon
Rozaana kyun khwaah-makhaah hee main
Takie tale teri tasveer rakhtaa hoon ?
Rozaana jab aaeena dekhoon
Tere liye hee to thoda sanvarataa hoon
Rozaana yoon rou-ba-rou hoke
Tere khayaalon se har pal guzarata hoon
Hoke yoon hee befikar
Bechainiyon mein raat-bhar
Rozaana dil kee deevaaron pe
Tere naam ke aage mera naam likhata hoon
Rozaana kyun khwaah-makhaah hee main
Takie tale teri tasveer rakhtaa hoon ?
Rozaana jab aaeena dekhoon
Tere liye hee to thoda sanvarataa hoon
Rozaana yoon rou-ba-rou hoke
Tere khayaalon se har pal guzarata hoon