menu-iconlogo
logo

Since Tum Jani ft. Talha Anjum

logo
Тексты
[Chorus]

Kyun? Kahan?

Yeh kaisa faisla hai

Mein tujhse door raha

Yeh meelon faasla hai

Aur ab mein hun kahan?

Ke tum sa koi ab milta nahi

Aur tum sa jo, jo khilta sahi

Par hum kya karein?

[Verse 1: JANI]

Tu pyaar ya khayal hai mera

Tu pehla malaal hai mera

Mein jadugar hun qalam ke saath

Tu pehla kamal hai mera

Ab mujhe teri yaad aaye boht

Mein karun tujhe ek text aur

But you don't give a fuck about me

Batade jaana ghar kab aayegi

Pohanch jayen ge paigham ki tarah

Dhal jayen kisi shaam ki tarah

Tu dhoondti phirrey humein sheher bhar may

Apne qeemti samaan ki tarah

Hum tere maizban naa sahi

Shab-e-gham koi aasan naa rahi

Mein seekh kar betha hun dil behlanay ka hunar

Tere aane kе asaar naa kahin

Tu jou muskura de

Mere har zakham ko marham dastiyab ho

Tu jou gunguna dе

Koyalo ki dhun sa lagay izhar ho

Tu jou galay laga le

Jaise har kali ki mehak bekaar ho

Tum kya ho tum khud nahi jaanti

Yeh sub mere saath har baar ho

[Chorus]

Kyun? Kahan?

Yeh kaisa faisla hai

Mein tujhse door raha

Yeh meelon faasla hai

Aur ab mein hun kahan?

Ke tum sa koi ab milta nahi

Aur tum sa jo, jo khilta sahi

Par hum kya karein?

[Verse 2: Talha Anjum & JANI]

Tum se milay tou theek, naa milay tou dil yeh

Khanjaron se chaak hogya, aur sarr pe

Bojh pareshaniyon ka, but I'm clocked in

Studio may laga rehta ladka raat din

Bottom of the bottom jani, you know I've been

Now I'm at the top jaise mein koi hakim

Sangaton ne rang ab badle, they've been talking

Naa aaye mo'tabar, naa aayi maut bhi

Janam meri zindagi hai ghazal bangyi

Tu insaaf naa kare, tu adal bangyi

Tujhse lakhon meel jaise tu ho chaand

Teri roshni ab kashish-e-saqal si bangyi

Naa tootnay se tootay woh qasam si bangyi

Mein likhun shayari, tu adab si bangyi

Jo chhor di adhoori woh nazam si bangyi

Mein yaad karun tujhko, tu sabaq si bangyi

Phir umeed kyun jagati ho?

Tum kahan ho? Kya siyahi may samati ho?

Hamesha dair kar deta hun mein pata hai naa

Tou meri jaan tum bhi waqt par kyun aati ho?

Hum khudse baaghi hain ya bekhabar

Naa maut aati hai, naa he sabar

Tu he naa mila mujhe agar

Tou mein faaslay badhaun tum se bus

[Verse 3: Talha Anjum]

Tu kheenche apni or

Naa chalta khud pe zor

Tu daalay aisi dor

I'm hoping, you don't let it go, let it go

Chhoro yeh bahane yeh kahaniyan

Badhao naa tum dil ki pareshaniyan

Hum pehle aashiq tou nahi hain jaaneman

Yeh ishq khaa gya badi jawaniyan

Mein iss farash se jurr ke boht khush

Kya karein teri hawayen hain sawariyan

Hum khogye hain khud may

Mil ke nahi de rahe

Ab kya Eid kya Diwaliyan, hmm

[Verse 4: JANI]

Bus ek jhalak jou dikh jaye mujhe teri

Tou shuru karein hum eid ki tayariyan

Mein iss farash se jurr ke boht khush

Baadalon se hain lagayi tu ne yaariyan

Tere samaan se bhari meri almariyan

Matt karo tum aur mazeed meharbaniyan

Mein bus dil ki baat kehne wala tha tumhe

Par kisi ne mujhko neend se jaga diya

Maahir hogya hun mein bhi ab tadapne may

Tou kyun darenge hum bhi dil ko rakhne may

Badal gye ho tum bhi ya pata nahi

Tum aise tou nahi the mere sapne may

[Chorus]

Kyun? Kahan?

Yeh kaisa faisla hai

Mein tujhse door raha

Yeh meelon faasla hai

Aur ab mein hun kahan?

Ke tum sa koi ab milta nahi

Aur tum sa jo, jo khilta sahi

Par hum kya karein?

Since Tum Jani ft. Talha Anjum от Jani/Talha Anjum - Тексты & Каверы