menu-iconlogo
logo

Ilahi Teri Chokhat Par

logo
Тексты
Zahir ki ankh se na tamasha kare koi

Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi

Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem

Takkat ho deed ki to taqaza kare koi

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai

Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai

Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker

Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker

Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein

Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein

Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda

Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda

Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki

Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki

Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey

Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey

Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali

Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali

Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula

Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola

Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon

Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon

Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na'kas tarjumani per

Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per

Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata

Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon

Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon