Tumhara aur mera naam
Jungle mein darakhton par
Abhi likha huwa hai tum
Kabhi jaakay mita aao
Bahaar aati hai
Lekin
Un darakhton par nahin aati
Humaray naam padhti hai
To waapas laut jaati hai
Yehi har baar hota hai
Tumhara aur mera naam
Jungle mein darakhton par
Abhi likha huwa hai tum
Kabhi jaakay mita aao
Woh raastay jin par
Murr kar
Kabhi na hum aaye
Na tum aaye
Ab aaya hoon to
Yeh kehtay huay
Mehsoos hotay hain
Akelay phir nahin aana
Tumhara aur mera naam
Jungle mein darakhton par
Abhi likha huwa hai tum
Kabhi jaakay mita aao
Tumhara aur mera naam
Mita aao
Tumhara aur mera naam
Mita aao
Tumhara aur mera naam
Mita aao