Har taraf husn hai
aur jawaani hai
Aaj ki raat
kya suhaani hai
Reshami jism
Haan reshami jism
Tharatharaate hain
maramari khwaab
gunagunaate hain
Dhadakanon main
surur phailaa hai
rang nazdik o duur
Phailaa hai
daawat e ishq
de rahi hai fazaa
aaj ho jaa
kisi haseen pe fidaa
Muhabbat bade
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Muhabbat bade
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Muhabbat ke dam se hai
duniyaa ki ronak
Muhabbat na hoti to
Kuchh bhi naa hota
Nazar aur dil ki
Panaahon ki khaatir
Ye jannat na hoti to
Kuchh bhi naa hotaa
Yahi ek aaraam ki
cheez hai
kaam ki cheez hai
Muhabbat bade
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Kitaabon mein chhapate hain
chaahat ke kisse
Haqeeqat ki duniyaan mein
chaahat nahin hai
Kitaabon mein chhapate hai
chaahat ke kisse
Haqeeqat ki duniya mein
chaahat nahin hai
Zamaane ke baazar
Mein ye wo shai hai
Ke jis ki kisi ko
zarurat nahin hai
Ye bekaar bedaam
ki cheez hai
Ye kudarat ke inaam
ki cheez hai
Ye bus naam hi naam
ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Muhabbat bade
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Muhabbat se itanaa
Khafaa hone waale
Chal aa aaj tujh ko
Muhabbat sikhaa dein
Teraa dil jo baraso se
wiraan padaa hai
Kisi nazaninaan ko
iss mein basaa dein
Meraa mashavaraa
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Muhabbat bade
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Ye bekaar bedaam
ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Muhabbat bade
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai
Muhabbat bade
kaam ki cheez hai
kaam ki cheez hai.