menu-iconlogo
logo

Naya

logo
Тексты
Aazadiyoń meiń dhal chuki huń poori

Toh kya?

Suljha rahi huń khud har ek paheli

Toh kya?

Kisiki manzooriyon se fark nahi padta

Ab chal rahi hai marziyaan jo meri

Toh kya?

Tu nahi toh kya, safar hai naya

Manzar hai naya naya naya

Tu nahi to kya, sukun hai naya

Yeh ghar hai naya naya naya

Teri shikaayaton se thak chuki hun

Meri galtiyon ki gintiyon se thak chuki hun

Main badal rahi hun, sab samajh rahi hun

Khud sambhal rahi hun toh kya?

Sawaal pe sawaal toh tere hai lajawaab

Par hain jawaab kuch nahi

Choti-choti baatoń ka jo rakhte thae hisaab

Aisi kitaab ab nahi

Tu nahi toh kya, safar hai naya

Manzar hai naya naya naya

Tu nahi toh kya

Yeh ghar hai naya naya naya

Tu nahi toh kya, safar hai naya

Manzar hai naya naya naya

Tu nahi toh kya, sukun hai naya

Yeh ghar hai naya naya naya