INTRO......
Bahot dinon ki baat hai
fizaa ko yaad bhi nhi
ye baat aaj ki nhi
bahot dinon ki baat hai
shabaab par bahaar thi...
shabaab par bahaar thi
fizaa bhi khushgawaar thi
na jaane kyun machal padaa
main apane ghar se chal padaa
kisi ne mujhko rok kar
badi adaa se tok kar
kahaa tha laut aaiye
meri qasam naa jaaiye....
par mujhe khabar naa thi
mahaul pe nazar naa thi
naa jane kyun machal padaa
main apane ghar se chal padaa
main chal padaa....
main shahar se phir aa gayaa
khyaal tha ke paa gayaa
usey jo mujhse door thi
magar meri zaroor thi
aur ek haseen shaam ko
main chal padaa salaam ko
gali ka rang dekh kar
nayi tarang dekh kar
mujhe badi khushi hui
khushi hui
main kuchh isi khushi me tha
kisi ne jhhank kar kahaa
paraye ghar se jaaiye
meri qasam na aaiye
naa aaiye.....
wahi haseen shaam hai
bahaar jiska naam hai
chalaa hoon ghar ko chhod kar
naa jaane jaungaa kdihar
koi nahi jo rok kar
koi nahi jo tok kar
kahe ke laut aaiye
meri qasam naa jaaiye
meri qasam naa jaaiye
meri qasam naa jaaiye
meri qasam naa jaaiye...
Thanks To Sing :KUMARESH.